Lahu luhaan hua hai falak, yeh kaisa loha phigla hai ... ek suraj doob gaya peeche, ek suraj samne nikla hai
'A' for apple, 'B' for ball ki jagah ... 'M' for maa-ki aur 'B' for bhen-ki bolna seekh gaye
Koi atka hua hai pal shayad ... waqt main pad gaya hai bal shayad ... dil agar hai toh dard bhi hoga ... iska koi nahi hai hal shayad
Seeti bajhi rail ki alert ho jaiye ... ticket katti aapki, seedha upar jaiye
Tarcol ki ek sadak par do saaye hai ... andhere ki najayaz aulaad hai shayad ... ghoont ghoont khoon pee kar dono pale hai shayad ... paon tale zameen hai na sar pe aasmaan hai ... zindagi kuchal gayi, yeh unki daastan hai
(Aap log karte kya hai?) - Maar-keting ... boss target deta hai aur hum target poore karte hai
Ek ladki joh chhat se apne papa ko dhakel de, usse ka kehte hai batao? ... push-paa!
Sari zindagi kai tasveerein seene se lagayi rakhi ... kabhi khud ki tasveer yaad nahi rakhi
Ek khwaab ne aankhen kholi hai ... kya modh aaya hai kahani mein ... woh bheeg rahi hai baarish mein ... aur aag lagi hai paani mein
Soovar ko saala goo hi khana chahiye ... jahan usne gulkand pe mooh mara, haazma kharab hona hi hai
No comments:
Post a Comment